Top 45 + Eyes Poetry in Urdu, Beautiful Ankhain Shayari

You will find a beautiful collection of eye poetry in this Jam Poetry of ours, Eyes Poetry in Urdu, which is romantic, sad, attitude, killer eyes, and two lines of Beautiful eyes poetry in Urdu, etc. There are all types of eye-related poetry. If you come with good hope in what you are looking for, you will love the poetry of each eye. And you must share it with your friends and on social media.

eyes poetry in urdu

Eyes Poetry in Urdu

مرنے کے وقت بھی میری انکھیں کھلی رہیں

 عادت جو پڑ گئی تھی تیرے انتظار کی

Marne ke waqt bhi meri aankhein khuli rahi

Aadat jo pad gayi thi tere intezaar ki

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Sad Eyes Poetry in Urdu

اٹھ رہی ہے وہ آنکھ رک رک کر

قتل میں ہورہاہوں قسطوں میں

Uth rahi hai woh aankh ruk ruk kar

Qatl mein ho raha hai, qashton mein

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

دل گیا تھا تو یہ آنکھیں بھی کوئی لے جاتا 

میں فقط ایک تصویر کہاں تک دیکھوں

Dil gaya tha to yeh aankhein bhi koi le jaata

Main sirf ek tasweer kahan tak dekhoon

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Eyes Poetry

ایک حسیں آنکھ کے اشارے پر

 اکثر قافلے راہ بھول جاتے ہیں

Ek hasin aankh ke ishaare par

Qafile raah bhool jaate hain

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

کچھ یاد کر کے آنکھ سے انسو نکل پڑے

 مدت کے بعد گزرے جو اس کی گلی سے ہم

Kuch yaad kar ke aankh se aansu nikal pade

Muddat ke baad guzre jo uski gali se hum

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

آنکھ راہزن نہیں تو پھر کیا ہے؟

لوٹ لیتی ہے قافلہ دلوں کا

Aankh raahzan nahi to phir kya hai?

Loot leti hai qafile dilon ka

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

eyes poetry in urdu text

Eyes Poetry in Urdu pic

تمہاری آنکھ کی توہین ہے ذرا سوچو

 تمہارا چاہنے والا شراب پیتا ہے

Tumhari aankh ki toheen hai zara socho

Tumhara chahne wala sharaab peeta hai

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

attitude eyes poetry in urdu

میری آنکھ سے چھین کر نیندیں

 اس نے دی ہے دعا سکوں کی

Meri aankh se cheen kar neendein

Usne di hai dua sukon ki

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

خان ہماری آنکھ میں لوٹی نہ پھر کبھی

 اس بے وفا کے ساتھ گئی بے وفا وہ نیند

Khan hamari aankh mein looti na phir kabhi

Is be wafa ke saath gayi be wafa woh neend

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

اس کی آنکھ میں بھی کاجل پھیل رہا ہے

 میں بھی مڑ کے جاتے جاتے دیکھ رہا ہوں

Uski aankh mein bhi kajal phail raha hai

Main bhi mud kar jaate jaate dekha hoon

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

دل میں ایک عمر جس نے شور کیا 

وہ بہت کم رہا ان آنکھوں میں

Dil mein ek umar jisne shor kiya

Woh bahut kam raha in aankhon mein

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

killer eyes poetry in urdu

killer eyes poetry in urdu

دیوانہ کر دیا اس نے ایک بار دیکھ کر

 ہم کچھ بھی نہ کر سکے مسلسل دیکھ کر

Deewana kar diya usne ek baar dekh kar

Hum kuch bhi na kar sake musalsal dekh kar

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

ہم اگر تیرے خد و خال بنانے لگ جائیں

 صرف آنکھ پہ کئی زمانے لگ جائیں گے

Hum agar tere khud o khala banaayein lag jaayein

Sirf aankh pe kai zamaane lag jaayein gaye

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

نظر نے نظر کو نظر بھر کے دیکھا 

نظر کو نظر کی نظر لگ گئی

Nazar ne nazar ko nazar bhar ke dekha

Nazar ko nazar ki nazar lag gayi

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

اس کی انکھیں سوال کرتی ہیں 

 اور میری ہمت جواب دے جاتی ہے

Uski aankhein sawaal karti hain

Aur meri himmat jawab de jaati hai

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

جو ان کی آنکھ سے بیان ہوتے ہیں 

وہ لفظ شاعری میں کہاں ہوتے ہیں

Jo uski aankh se bayan hote hain

Woh alfaz shayari mein kahan hote hain

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

دکھ درد کے قبیلے سے تعلق ہے ہمارا 

آنکھ کی اداسی ہمیں ورثے میں ملے

Dukh dard ke qabeelay se talluq hai hamara

Aankh ki udasi hamein virasat mein mile

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

sad eyes poetry in urdu

لوگ نظروں کو بھی پڑھ لیتے ہیں

 اپنی آنکھوں کو جھکائے رکھنا

Log nazaroon ko bhi parh lete hain

Apni aankhon ko jhukaye rakhna

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

لڑنے کو دل جو چاہے انکھیں لڑائیے 

ہو جنگ بھی اگرتو مزیدار جنگ ہو

Ladne ko dil jo chaahe aankhein laraaye

Ho jung bhi agar to mazeedaar jung ho

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

تیرے جمال کی تصویر کھینچ دوں لیکن

 زباں میں آنکھ نہیں آنکھ میں زبان نہیں

Tere jamaal ki tasveer kheench doon lekin

Zabaan mein aankh nahi, aankh mein zabaan nahi

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

اٹھ کے جب جانے لگے تھے روٹھ کر محفل سے وہ

 ڈھونڈتے ہم رہ گئے آنکھوں میں جو تنکا نہ تھا

Uth ke jab jaane lage thay rooth kar mehfil se woh

Dhoondte hum reh gaye aankhon mein jo tinka na tha

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

یہ ہم جو تجھے جاتا ہوا دیکھ رہے ہیں

 ایسے تو چلی جائے گی بینائی ہماری

Yeh hum jo tujhe jaata hua dekh rahe hain

Aise to chali jaayegi binaai hamari

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

attitude eyes poetry in urdu

انکھیں کھلی تو جاگ اٹھی حسرتیں تمام

 اس کو بھی کھو دیا جسے پایا تھا خواب میں

Aankhein khuli to jaag uthe husratein tamaam

Is ko bhi kho diya jise paya tha khwaab mein

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

بہت سے خواب دیکھو گے تو

 انکھیں تمہارا ساتھ دینا چھوڑ دیں گی

Bohot se khwaab dekho ge to

Aankhein tumhara saath dena chhod denge

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

صرف ہاتھوں کو نہ دیکھو کبھی آنکھوں کو بھی پڑہو

 کچھ سوالی بڑے خوددار ہوا کرتے ہیں

Sirf haathon ko na dekho kabhi aankhon ko bhi parho

Kuch sawaali bade khud-daar hawa karte hain

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

 کسی نے حال دل پوچھا تو آنکھیں ہو گئیں پرنم

 اب اس سے مختصر روداد دل کہتے تو کیا کہتے

Kisi ne haal-e-dil poocha to aankhein ho gayiin parnam

Ab is se mukhtasar rodaad dil kehte to kya kehte

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

واقف غم، متبسم، متکلم، مگر خاموش

 تم نے دیکھی ہیں کہیں ایسی نرالی آنکھیں

Waqif gham, mtabassim, mutakallim, magar khaamosh

Tum ne dekhi hain kahiin aisi niraali aankhein

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

طلوع صبح سے پہلے ہی بجھ نہ جائیں کہیں

 دشت شب میں ستاروں کی ہم سفر آنکھیں

Tulu-e-subh se pehle hi bujh na jaaye kahiin

Dasht-e-shab mein sitaaron ki hum safar aankhein

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

eyes poetry in urdu 2 lines

اس کی انکھیں جو کبھی شعر سنانے لگ جائیں 

جتنی غزلیں ہیں زمانے میں ٹھکانے لگ جائیں

Us ki aankhein jo kabhi sher sunaane lag jaayein

Jitni ghazlein hain zamaane mein thakane lag jaayein

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

 تیری آنکھیں بھی کیا مصیبت ہیں

 میں کوئی بات کرنے آیا تھا

Teri aankhein bhi kya museebat hain

Main koi baat karne aaya tha

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

تیری آنکھوں کو پڑہتے ہیں

 تجھے دیکھا نہیں کرتے

Teri aankhon ko parhte hain

Tujhe dekha nahi karte

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

تیری آنکھوں کا کچھ قصور نہیں

 میری فطرت ہی شاعرانہ ہے

Teri aankhon ka kuch qasoor nahi

Meri fitrat hi shairana hai

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

کچھ کہےبنا اکثر بولتی ہیں آنکھیں بھی

 گفتگو کے سب لمحے حرف گر نہیں ہوتے

Kuch kahe bina aksar bolti hain aankhein bhi

Guftagu ke sab lamhe harf gar nahi hote

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

beautiful eyes poetry in urdu

دل دلاسوں پہ مان جاتا ہے

 لیکن آنکھوں کی ضد نہیں جاتی

Dil dilaasoon pe maan jaata hai

Lekin aankhon ki zidd nahi jaati

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

بند کرتا ہے عقل کی آنکھیں 

عشق جب واردات کرتا ہے

Band karta hai ‘aql’ ki aankhein

Ishq jab vaardaat karta hai

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

اس کی آنکھوں کا وہی رنگ ہے جھیلوں جیسا 

خاص جرگوں میں قبائل کے دلیلوں جیسا

Iski aankhon ka wahi rang hai jheelon jaisa

Khaas jargon mein qabail ke daliyon jaisa

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

کون جیتے گا ان سے باتوں میں

 جن کی آنکھیں کلام کرتی ہیں

Kaun jeetega unse baaton mein

Jin ki aankhein kalaam karti hain

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

eyes poetry

میری تصویر بناتے ہو مگر دھیان رہے

 آنکھ حیران بنے زلف پریشان بنے

Meri tasveer banate ho magar dhyan rahe

Aankh hairaan bane zulf pareshan bane

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

 ایسی آنکھوں پہ غزل کہنا بہت مشکل ہے 

ایسی انکھوں پہ تو قربان جوانی ہوگی

Aisi aankhon pe ghazal kehna bohat mushkil hai

Aisi aankhon pe to qurbani jawani hogi

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Conclusion:

I hope you find this Eyes Poetry in Urdu post interesting. I am very grateful for your special time with me. If you’re friends and love, share it with them and become an equal partner; share the poetry of your Eyes Poetry so they can have some courage. So thanks full you very much.

Leave a Comment